Friday, September 28, 2018

सरकार-एक पालक

गुलामी की जंजीरों से बंधे हुए हिंदुस्तान में जब आजादी की महक आनी शुरू हुई तभी "शिखर" पर बने रहने की इस लड़ाई ने एक जहर भी घोलना शुरू दिया जिसकी नींव आजादी के कई साल पहले अंग्रेजों ने अपनी सत्ता व मालिकाना को बरकरार रखने के लिए रखी थी अर्थात भारतीयों को धर्म के आधार पर विभाजित करना।यह प्रयोग सफल रहा और जो हिंदुस्तानी कबीर के दोहे व मीरा भजन से आपस में घुले मिले थे उसे पाश्चात्य परंपरा ने पूरी तरह विखंडित कर दिया,लोग एक दूसरे के सम्मान की बजाय "मैं-मेरा" पर ज्यादा यकीन करने लगे।धर्म-पंथ के आधार पर हम बंट चुके थे और ऐसा ही एक बंटवारा जाति के आधार पर "पूना पेक्ट" के बाद देखने को मिला।अंततः जब आजादी मिली तब पटेल-नेहरू के समक्ष सबसे बड़ी समस्या देश को और विखंडन से ना केवल बचाना था बल्कि सबको एक धागे में मोतियों की माला के समान पिरोना भी था और तब महात्मा गांधी जी ने सुझाव दिया कि देश के लोकतांत्रिक "ग्रंथ" को रचने की जिम्मेदारी ऐसे समाज के प्रतिनिधिकर्ता को सौंपी जाये जिसे ना केवल अछूत मानकर एक कोने में समेट दिया गया है बल्कि जिनका मानसिक विकास भी सीमित रह गया है।अतः इस कार्य के लिए सर्वश्रेष्ठ उम्मीदवार थे बाबा साहब अंबेडकर जो ना केवल तब के उच्च वर्ग के प्रतीक "सूट-बूट" को पहनते थे बल्कि स्वयं ऐसे समाज से आते थे जिनके लिए ना कोई कुएं थे ना ताल।
उन्होंने ना केवल एक आदर्श संविधान बनाया बल्कि ऐसा प्रावधान भी रखा जिससे किसी वर्ग को तकलीफ ना हो अतः सही मायने में सरकार ने एक पालक की भूमिका निभाई,ऐसे माता-पिता की जिसने ना सिर्फ घर के बड़े पुत्र को अपने छोटे पुत्र के संरक्षण की जिम्मेदारी दी बल्कि छोटे पुत्र को भी बड़े के प्रति सम्मान सिखाया।
फिर अब ऐसा क्या हुआ कि बरसों से एक साथ रहने वाले दोनों भाईयों में फूट पड़ रही है?क्या सरकार भेदभाव कर रही है?जबाब होगा बिल्कुल नहीं।उदाहरण के लिए मेरा एक बड़ा भाई है मुझे लगता है कि वो बड़ा है(उच्च) है अतः माता-पिता उसे ज्यादा प्यार करते हैं और वो ये सोचते हैं कि चूंकि मैं छोटा(निम्न) हूं इसलिए मुझे ज्यादा लाड़-सम्मान मिलता है।लेकिन क्या इसमें किंचित मात्र भी सत्य है?
नहीं बिल्कुल नहीं क्योंकि माता पिता के लिए उनकी दोनों संतानें एक समान हैं यदि किसी एक को कभी ज्यादा प्यार मिल रहा है तो उसका मतलब दूसरे का तिरस्कार नहीं है और ये बात दोनों भाईयों को भी समझना चाहिए।सरकार भी पालक की भूमिका में रहती हैं और सभी वर्ग उसकी संतानें हैं जिनमें भेदभाव के बारे में वो सोच भी नहीं सकती अतः जरूरी है कि सभी वर्ग सौहार्द से रहें वर्ना घर का नाश निश्चित है।

Monday, May 27, 2013

ADDICTION-by government,to the people

Addiction ek aisa jahar jo dheere dheere insaan ko shaaririk aur maansik roop se kamjor bana deta hai,ek aisa shabd jise hum aksar sunte hain aur hum sabhi kisi na kisi roop me iske shikaar bhi hain..
Koi INTERNET ADDICT hai to koi T.V.ADDICT,kisi ko juye ka nasha hai to kisi ko sharaab ka arthaat spasht hai ki chaahe-unchaahe we all are addict..
Khair ye to hua introduction jiski aaj sabse jyada jarurat shayad sarkar ko hai jo khud satta ke addict ho chuke hain aur isi nashe ka paridaam hai ki wo kai baar aise nirnay lete hain jo samjh se pare hai..
Hum logo ne british saamrajya se bahut sare ya kahe ki lagbhag sabhi ACT to le liye lekin us shaashan ki jo sabse prashanshneey visheshta thi use govt.ne apne faayde ke liye abhi tak adopt nahi kia.
Bahut kam logo ko ye jaankari hogi ki british shaashan me majdoor varg,gareeb varg aur shaaririk roop se kamjor varg ko sharaab,tambaaku(tobacco) jaise nashe ki puri tarah se paabandi thi lekin aajaadi ke baad aisi paabandi hata li gai ye jaante huye bhi ki ye sab swasthya bharat ko beemar raashtra banaane ke liye kaafi hain.
Aaj govt.bahut sare health programs ko sirf dikhaawe ke liye laagu kiye huye hai warna jis CANCER CONTROL PROGRAM ko wo saalo se laagu kiye huye,uske naam pe kai sau CANCER RESEARCH INSTITUTES khole gaye hain lekin jo factor uske liye sabse jyada jimmedar hai uspe paabandi kyun nahi lagai jati hai,kyun sabse gambheer bimaari ke janak utpaado ko aaj bhi aur jyada maatraa me banaya ja raha hai..
MOHFW kai jilo ki kramvaar report me ye to batati hai ki sabse jyada kuposhit rajya kaun sa hai,sabse jyada infant death kaha par hai lekin kyun nahi wo cancer jaisi bimaario ki district wise report aur uske kaarad ko batati hai.
Aaj desh ki haalat ye hai ki yaha kai raajyo ke HEALTH MINISTERs ke khud ke sharaab ke theke hain jiske kaarad anginat ghar barbaad ho chuke hain aur aneko barbaad hone ke kareeb hain.
Aaj Govt.sirf acche raajasv ki purti ke kaarad aur apne raajneetik swaarth ke kaarad logo ke swaasthya se khele ja rahi hai.
Ho sakta hai kai buddhijeevio ka yaha par ye tark ho ki sarkar health education ke dwara logo ko in cheejo ko na apnaane ki salaah deti hai lekin us samay wo ye baat bhool jate hain ki in cheejo ko apnaane ki prerna bhi yahi sarkar de rahi hai.
Sharaab ya aur bhi aise nashe se na kewal sambandhit vyakti ka parivaar balki pura samaaj dooshit ho raha hai.
Vartmaan me gharelu hinsa ke liye bhi ek hadd tak sharab hi doshi hai aur yahi kaarad hai ki adhiktar gharelu hinsaaye karne wala vyakti sharabkhori me lipt paya jata hai.
Sarkar ka sarv siksha abhiyaan ho ya baal apraadh nishedh vidheyak ya fir youn shoshad ko rokne wale kaanoon sabhi is nashe ke kaarad prabhaavit huye hain aur satta me baithe log ye acche se jaante hain ki yadi desh ke sabhi log maansik aur shaaririk roop se swasthya ho gaye to fir unka dohan arthaat brain drain karna mushkil ho jayega.
Govt.aaj kahi bhi sharaab ke theke khulwa rahi hai ya ye kahe ki ek aise varg ke beech me jo kamjor hain aur monetary term me dekhe to BPL area me hi warna yadi sarkar ke liye sharaabkhori gangajal ke samaan hi hai to wo in theko ko OFFICERS COLONY,MLA COLONY ya fir high class varg ke beech me kyun nahi khulwati hai...
Ant me yahi kahna chahunga ki in sabke liye sarkar se bhi jyada wo log jimmedar hain jo inka upyog kar rahe hain na ki sirf apni kamjori chhupane ke liye balki high status ke naam pe bhi fir chaahe wo beer k roop me ho ya wine ke roop me,whiskey ke roop me ho ya shampene ke roop me...

"IF YOU WANT TO MAKE INDIA HEALTHY FIRST YOU BECOME HEALTHY & MAKE SURE TO LIVE HEALTHY LIFE"......

Wednesday, March 27, 2013

RAGGING-the destroyer


RAGGING ek aisa shabd jisse sabhi  parichit hoge,ek aisa shabd jisne vidhyarthi hone ke maayne hi badal diye aur iska samarthan karne wale bs iske naam par vidhyarthio ki arthi nikaalne me lage hain,ek aisa shabd jo napunsakta chhupane ka hathiyar maatr ban gaya hai aur ek aisa shabd jisse kai log khouf to khate hain lekin kuch din baad wahi log use apne kanishth pe bhi aajmaate hain..

Chahe Kolkata ki INDRANI ho ya fir shimla ke AMAN KACHROO aur aise hi na jane kitne anginat log hain jinhone ragging ke dansh ko na lewal saha hai balki unke parivaro ne bhi us jahar ko pia hai..
   
Yadi hum kanoon ki baat kare to RAGGING ek cognizable offence hai matlab ragging karne wale pe FIR karne ke liye police ko court se warrant ki jarurat nahi hoti hai lekin fir bhi colleges me inke official aur unofficial cases bade hi hain yaha tak ki records ke anusaar 2000 se ab tak lagbhag 100 ke kareeb vidhyarthio ko arthi pe pahuchane ka kaam bhi ragging naam ke “college cancer” ne kia hai.

Aaj desh ke lagbhag pratyek colleges me ragging pe ankush lagaane ke liye committees bani hui hain lekin fir bhi ragging ki shikayto me kami nahi aai hai shayad isliye kyunki adhiktar colleges ki committee me ragging ko samarthan karne wale log hi rahte hain,committees kabhi bhi apne kaaryo ki sameeksha karna bhi jaruri nahi samjhti aur yaha tak ki ragging ke shikaytkarta ki baat sunne ki jagah committees usse shikayat wapas lene aur ‘samjhauta’ karne ki salaah deti hai kyunki committee members bhi jaante hain ki UGC ke “anti ragging law” ke anusaar ragging ki shikayat sahi paye jane par college ki maanyata bhi khatm ki ja sakti hai.
Lekin yadi hum dusre paksh ki bhi baat kare to ragging karne ke liye ye tark dia jata hai ki isse kanishth sammaan karte hain aur wo kathin paristhitio me jeena seekhte hain,shayad ye tark ek hadd tak theek bhi lage lekin jis sammaan ko pane me aatma hi mar jaye,insaan shaitan tak ban jaye aise sammaan ko paakar hum kya karege???
Mujhe ye kahne me koi sharmindgi mehsoos nahi ho rahi hai ki hum jaise kuch log sirf apne shauk ke liye apne juniors ka is hadd tak shoshad kar dete hain ki wo us pal ko apne jeevan me kabhi nahi bhul pata aur is darr ko seniors sammaan kahte hain jo shayad 100 baar huye apmaan se bhi jyada bura hai aur ek badnuma daag ki tarah hai..
RAGGING karne walo ko kuch log "jaanwar" tak kahte hain lekin shayad humme aur jaanwaro me ek fark ye bhi hai ki hum apne shauk ke liye ragging ke naam par logo ka shoshad karte hain lekin jaanwar nahi kyunki jaanwar shauk nahi paalte hain aur na hi itne shaukeen hote hain ki apni species ko tadpaakar unhe maja aaye..
Aakhir me ek baat aur kahna chahunga ki sirf ragging lene wale ko hi doshi nahi samjha jana chahiye balki ragging dene walo ko baraabar ka doshi maana jana chahiye kyunki ragging peedit yadi pahli baar me hi iski shikayat kare to shayad bhavishya me hone wali yaatnaye use ya us jaise ki kisi aur ko na sahni pade aur yadi shikayatkarta khud bhavishya me ragging ke aarop me sahi paya jaye to uska college se registration cancel bhi hona chahiye.
RAGGING ko aaj koi bhi college kabool nahi karta hai lekin fir bhi wo jaanta hai ki usi college ke kisi kone me ek narak hai jaha nirdosh logo ko ragging ke naam par tadpaya ja raha hai,kai aatmao ko mara ja raha hai aur kai logo ko apni hi najar me giraaya ja raha hai aur us par ankush lagana bahut jaruri hai... 

Tuesday, March 19, 2013

SECULARISM-the duality

Samprdayik aur Dharm nirpeksh do aise shabd hain jisme aaj ki siyaasat uljhi hui lag rahi hai.Aaj har koi na chahte huye bhi khud ko Dharm nirpeksh saabit karne me laga hai,aap ye bologe to communal ban jaoge,ye nahi bologe to secularism ban jaoge,har jagah bas yahi tamaasha bana hua hai.
Lekin jara sochkar bataiye dharm nirpekshta ka matlab kya hai???
Humare desh ki rajneetik parties me ye tamaasha aksar dekhne ko milta hai,fir chahe wo nitish kumar ji ho ya mulayam singh yadav ya fir bahan mayawati,sabhi log swam ko dharm nirpeksh ghoshit kar bhi chuke hain lekin jara sochiye jis pradesh ka mukhiya ye kah de ki jo hume paise dega(special package ke roop me) hum uske bankar rahege,kya ye dogli maansikta nahi hai?kya aise log khud ko dharm nirpeksh kahlaanege ke laayak bhi hain?
Jo mukhya mantri ye kahe ki scholarship ya vishesh suvidha sirf ek samudaaye vishesh tak hi simit rahegi kya aap use dharm nirpeksh samjhege?
Desh ke netajan dharm nirpeksh to kya jaati nirpeksh bhi nahi hain shayad isliye kuch parties kuch jaati vishesh ke liye hi bani hain aur wo desh ko bhulakar sirf unhi ke liye samarpit hain.
Hindustan ke sanvidhaan me vishuddh roop se ye kaha gaya tha ki sabhi ko samaan adhikaar hain lekin aaj wo samaanta dikhaai kyun nahi deti hai?
Hindustan ke kaanoon ke hisaab se jis vyakti ke khilaaf desh ke kisi bhi police station me FIR darj ho wo vyakti sarkari naukri nahi kar sakta fir FIR me shatak tak pura karne wale kuch log sarkar me shaamil hote hain to ajeeb lagta hai ki aakhir is desh me kanoon bhi do bhaago me kyun bantaa hua hai?
Khair secularism ki naam par desh ke sabse bade dal ka naam aata hai CONGRESS aur uski alliance UPA.
UPA jo shayad khud ko abhi tak ka sabse saaf aur vishuddh dharm nirpeksh dal maanta hai shayad wo apne purane itihaas ko bhool gaya hai jaha par NEHRU JI ne kewal apni jid ke kaarad Hindustan aur Pakistan me narsanhaar tak karwa dia tha,INDIRA JI ki mrityu ke baad sikh virodhi dango ko bhi shayad ye dal bhool gaye hain.
Isi tarah in logo ko BABRI MASJID ka girna to yaad rah jaata hai jisme shayad kisi ki bhi mrityu nahi hui thi lekin badle swaroop kaaryawahi me kiye gaye BOMBAY BLAST ko ye dal kyun bhool jate hain jisme kai sau logo ki jaan chali gayi thi aur aaj bhi hum sirf 12 march ko uski barsi manaate hain lekin unke gunahgaaro ko saja nahi dila paye yaha tak ki hathiyar rakhne ke ek doshi ko mulayam ji apni party me ye kahkar shaamil karte hain ki 'kyunki inki maa muslim thi isliye inke sath itne julm huye'..shayad mulayam ji un logo ko is dauraan bhool gaye jinki maaye apne baccho ki maut pe aaj bhi ro rahi hain.
Secularism ki isi ladaai me sabse jyada jikr GODHRA RIOT ka aata hai lekin yadi jo netajan ye kahte hain ki godhra me muslim jyada prabhaavit huye the kyunki wo muslim bahul kshetra hai to fir ye log SABARMATI EXPRESS ke agni kaand ko kyun bhool jate hain jo godhra me hi hua tha aur jisme kai sadhu pujari mrityu shaiya me so gaye the.
Yasin malik jiski party ne J & K ki CM ki suputri ka apharan aatankio ko chhudane ke liye kia tha aaj wahi yasin malik bharat sarkar ka itna khaas kaise ban gaya,kabhi socha hai?
UPA dal hinduo ke param pujneey RAM JI ko supreme court me ek kaalpnik kirdaar siddh karne me lagi hai,RAM SETU ko todne ke liye pratibaddh hai lekin jab HUJ ki baat aati hai tab desh ki govt.unko subsidy tak dene me peeche nahi hat ti hai,fir bhi ye ek DHARM NIRPEKSH dal hai,kaise?jara sochiye..
Aaj ka yuva desh ki haalat pe aansu bahata najar aa jayega,netao ko kosta hua najar aa jayega,prakash jha ki RAJNEETI film pe apne dosto ke sath taaliya peet ta najar aa jayega lekin jab use rajneeti me aane ki salaah do to gaalia deta bhi najar aa jayega lekin us samay wo ye bhool jata hai jis rajneeti ko wo gaali de raha hai un rajneetikaro ko banane wala bhi wahi hai.
Rajneeti ko bura kahne wale shayad bhool baithe hain ki yahi rajneeti unke liye desh aur videsh me rahne ke liye niyam banati hai,yahi rajneeti ye paribhaashit karti hai ki aap dharm nirpeksh hain ya nahi aur yahi rajneeti aajaadi ke kai saalo baad bhi aapki aajaadi ki abhivyakti ko nirdeshit karti hai....  

Tuesday, January 29, 2013

CASTE-the real vote bank

Kahte hain hindustan me do cheeje hi sabse jyada prachlit hain-netao ki jaat(caste) aur rakhi sawant ki baat kyunki dono ka hi koi bharosa nahi hai...
Kabhi SHABANA AAZMI,SHAH RUKH KHAN jaise log apne aap ko isi caste ke kaarad asurakshit batate hain to kabhi bharat ke grah mantri sahab ke liye ye baat kahi jaati hai ki wo 'dalit' samudaaye se hain isliye unhe target kia ja raha hai..
Hindustan me PM, PRESIDENT, Deputy PRESIDENT, DEFENCE MINISTER sab alag caste ke hone ke baad bhi yadi logo ko aisa lagta hai ki wo yaha asurakshit hain to wo log kyun nahi apne leaders se is sambandh me baat karte hain.
Humesha dalito ke kandhe pe bandook rakhkar raajneeti karne wali MAYAWATI Ji se kyun nahi ye sawal pucha jata hai ki apne shaashan kaal me unhone kitne dalito ka udhhaar kia hai.
RAHUL GANDHI sareekhe nausikhiye kya ye batayege ki aapne aajtak kitne dalito ko apne ghar bulakar khana khilaya hai aur fir desh me kuch samay ko chhod dia jaye to humesha unke gharane ki sarkar rahi hai to in sab ki buri haalat ke liye kaun jimmedar hai.
Yadi koi sawarn jaati ki ladki kisi dalit ya muslim ya isaai ladke se shaadi kare to us couple ko kuch pradesh ki sarkare sammaanit karti hai (dhayan dene yogya baat hai ki ladki sawarn ho) lekin yahi sammaan humaare desh ke neta kyun nahi lena chahte,kyun nahi apni ladkio ka account 'vote bank' me kholte hain,kabhi socha hai?
Isi vote bank ka hi nateeja hai ki naxalites ke bhandaar me asankhya videshi hathiyaar milne ke baabjud bhi unhe maasoom hi mana jata hai atankwadi nahi fir chahe wo kitne hi logo ko maut ki neend sula de.
Ise vote bank ki rajneeti kyun na samjha jaye ki rape jaise ghinaune apraadh karne wale ke dimaag ko nabaalig mana jata hai wo bhi sirf 10th ki marksheet ko aadhaar maankar jabki isi 10th ki marksheet ko Ex GENERAL V.K.SINGH ke case me niradhaar maan lia gaya tha.
Lekin in sabme kya sab galti desh ke netao ki hai ya fir hum log iske liye jyada jimmedaar hain?
Desh ne kuch din pahle 64th gadtantra ko bahut dhumdhaam se manaya lekin jara sochiye hum kaisa loktantra mana rahe hain jaha desh ko aaj bhi angrejo dwara banai policy DIVIDE & RULE se hi chalaya ja raha hai..

Sunday, January 13, 2013

DOCTOR- The Second God

Kahte hain ki jab bhagwan ruthta hai to Dr.ke paas jate hain aur jab doctor ruth jaye to seedhe bhagwan ke paas hi jana padta hai..
DOCTOR ek aisa tabka jise log sammaan ki najar se dekhte hain ya kahe to dekhte the jo jyada sahi hoga kyunki aaj DOCTOR ka sammaan uske kamaaye dhan pe jyada nirbhar hai.
Kahne ko to ek Dr.2nd class officer hota hai lekin shayad ye sab sarkari kaagjo me hi hai tabhi to ek Dr.ko na to 2nd class officer jitni suvidhaaye milti hain aur na hi sarkaar dwaara utni ijjat yaha tak ki aamir khan jaise log bhi unpar aarop laga dete hain..Khair na mujhe aamir ke aarop se jyada fark padta hai aur na hi netao ki gaali se kyunki shayad ye log is laayak nahi hain ki koi doctor inke baare me baat bhi kare..
Lekin jab in sab aalochnaao ka kaarad dhundta hu tab samajh aata hai ki shaayd inki galti nahi hai kyunki  doctor ka proffession samaaj ke un ghatia logo ke kaarad badnaam ho raha hai jinke liye mareej nahi 'maya' jyada keemti hai jinhone apne swaarth ke liye Dr.ke proffession ko sadak pe bikne ke liye chhod rakha hai..
Pahle ke dr.jaha nabj pakadkar bimaari ke baare me bata dete the wahi aaj kuch doctor sirf paise kamaane ke chakkar me mareej ko aisi machine ke aage khada kar dete hain jiski shayad jarurat hi nahi hai..
Doctors ki sanvedanheenta isi baat se samajh aati hai ki pahle mareej ki maut pe doctors ko neend bhi nahi aati thi aur aaj kuch peshevar log unki laash pe hi apna khana khate hain..
kahi ye sab MBBS jaise pratishthit course me agoygya logo ke aane se to nahi hua hai...jara sochiye aise doctor kisi mareej ka niswaarth bhaav se kya ilaaj karege jisne sirf MBBS karne me hi lakho Rs.fook diye ho,jise MBBS ka full form bhi na aata ho aur jo aise logo ke samarthan me khade huye ho..
Sochiye jara sarkar ki aarakshan paddhti se kis mareej ka bhala ho raha hai?

Jab USA k president ki niji doctors ki list jaari hoti hai tab hum hindusatni naamo ko dekhkar to gauravaanvit hote hain lekin jab yaha ke mareej ko hindustan ke bahar sirf 'behtar ilaaj' ke naam par le jaya jata hai tab hum sharminda kyun nahi hote hain..
Kya dusri sabse badi jansankhya wale desh me itne yogya doctor bhi nahi hain ki kisi ka ilaaj behtari se kar sake ya fir sarkar ko apne 'aarakshit ayogya' aur 'maya premi' doctors pe bharosa hi nahi hai..
Kya madhya pradesh,tamilnadu,andhra pradesh ki sarkare ye spasht karegi ki MBBS ya PG ke liye hone wale NEET exam se unko kya dukh hai aur kyun wo log STATE PMT/PG karaane ke liye itne vyaakul hain jabki STATE form bharne me students pe aarthik bojh hi padega..

Aaj shayad hi koi doctor hoga jo apne shubhchintak ko doctor banne ke liye kahega kyunki wo jaante hain ki doctors ka shoshad hi hota hai kabhi bond ke naam par to kabhi 'nasbandi target' ko pura karne ke naam par aur kabhi un sarkari yojnao ke naam par jisme kuch 'generic' dawaaiya dekar ye kah dia jaata hai ki ilaaj behtar hona chahiye...Log jab kacche baniyan bhi branded lena pasand karte hai,just because of better quality, to fir unbranded generic dawaaio se kise faayada hai..

Dr.pe ungli uthaana to bahut aasaan hai lekin jara us aag me jalkar dekho jisme ye log jalte hain,jinke liye na koi tyohaar bana hai aur na koi ravivaar balki jo log dusro ki khusi me hi apni diwali manaate hain aur jo dusro ke gam me apni khushi ki holi bhi jala dete hain...


                                             aag se tapkar sona banta hai,
                                        hathodo ki chot se faulaad banta hai,
                                             jo aag in sabko bhi jala de,
                                       us aag se dharti ka bhagwan banta hai..

Friday, January 4, 2013

WE-the people of Young India

People matlab log,sunne me aisa lagta hai jaise doordarshan ka purana aur pasandida serial hai khair dunia me kai log dikhai dete hain.koi khud ko aam logo me include karta aur koi VVIP logo me jinke paas tak unke paaltu jaanwar to ja sakte hain lekin ek saamanya aadmi nahi..
Alag alag logo ke baare me bataane laga to aap to bore ho hi jayege me khud apne baal nochne lagunga ki mene ye kyun kaha..
Aaj is ativyast jindagi me logo ke paas khud ke liye bhi samay nahi hai.Kabhi jin padosio ke ghar ki chhat aapas me milti thi aaj unke dil bhi nahi milte..Aadhunikta ke is daur me logo ko unke parivaar ka hi pata nahi rahta to padosi to jaise unke liye pakistan ke niwaasi ho..
Lekin in sab vyastata ke vaavjood bhi logo ka anjaan logo ke samarthan me khade rahna,paidal paidal kai K.M.tak chalna kisi aashcharya se kam nahi hai.
Ye logo ka swabhaav hi hai ki apne bujurg maa baap ko ghar se nikaalne wale bhi lokpal ke naam par saansado ko baahar nikaalne ke liye gaandhi topi me najar aate hain.
Lekin hum thoda purane log aur aadhunik logo ko compare kare to samajh aa jayega ki pahle jab kisi anjaan ke halki si bhi kharoch lagne par hum uske liye apna sab kaam chodkar use hospital tak le jane me sankoch nahi karte the wahi aaj ke aadhunik log kisi ghaayal ladki ko 2-3 ghante tak nirvastra haalat me sadak par gira dekhkar to chupchaap bagal se nikal jaate hain lekin agle din apna sab kaam chodkar sarkar ke khilaaf naarebaji karne jarur aa jate hain..
Pahle ke log apni baato se dilo ko bhi pighla dete the lekin aaj ke Young India ke log sirf INDIA GATE pe mombatti ko pighlana jaanta hain..
Logo ka parakram pahle yuddh me dikhai deta tha lekin ab wo masoom ladkio ke duppatte kheechne tak  hi seemit rah gaya hai,aaj ke aadhunik log isme hi khud ka shaurya samajhte hain.
Logo ka matlab sirf aadmio ka jhund hi nahi hai isliye yadi mahilaao ke liye kuch na kaha to devi shaktia naraj ho jayegi waise bhi jab unse shiv nahi bach sake to hamari kya visaat hai.
SHARM,HAYA ko kabhi mahilaao ka gahna maana jata tha lekin ab ye shabd to shayad oxford ki dictionary  me bhi na mile.Kisi ko sexy kah do to golia chal jaati thi lekin ab to RASHTRIYA MAHILA AAYOG ki adhyaksha mahodaya tak ne ise mahilaao ki sundarta ke samaan maan lia hai.
Ab ye logo ka girta istar hai ya kuch aur ki gharo se jyada ladke ladkia angreji sharab ke addo pe mil jaate hain,mandir me devtaao ke aage sar jhukaane se jyada pub bar ki ardhnagn mahilao ke aage talwe chaat te najar aate hain.
JAN-GAN-MAN ki dhun pe aansu tak bahaane walo ne shayad hi kabhi socha hoga ki aaj ke aadhunik logo ko 'RASTRIYA GAAN aur GEET' me kya antar hai,ye tak nahi pata lekin 'RAP MUSIC' kya hai ye jarur pata hoga.
Young India ke young logo ne hi pitaji ko murda(dad) aur mataji ko wax(mom) bana kar rakh diya hai shayad yahi kaarad hai ki aaj 'pita ka darr' murdaghar ki shaan badaane ki aur hai,wahi maa ki mamta kisi mom(wax) ki tarah aise jam gai hai jaise pighli hui mom jam jati hai.
Young india ke yahi log hain jo bf aur gf apne kapdo ki tarah badalne me bhi parhej nahi karte hain aur inke partners ki sankhya inke kapdo se jyada hi hoti hai.Yahi swatantra aadhunik bharat hai aur badkismati se hum is samay ke waasi hain.   
                                                             


                                      kah na de kuch koi inhe ye naye bharat ke rakhwale hain,
                                      sharaab ki dunia me hi jo jinda rahne wale hain,
                                      aajaadi ki baate ye kis muh se ab karte hain,
                                      hukka bar me hi jab bharat ko bechne wale hain..